3 years ago I heard this poetry by Shaukat Raza Shaukat about the attack Imam Hussain (as) lead on yazid's army on the day of ashura at the battle field of karbala. Whenever we think/talk about Imam Hussain a.s our heart starts sinking by just thinking that how hard the day of ashura was for Him. I've been crying over him and his family since i don't even remember but I do get happy when I read this poetry because it shows how tough the blood of Ali is .
I fall a sleep like a proud man every night after telling myself that ; Islam is the name of Mohammad's insight perception, Abutalib's support, Khadija's money and Ali's courage.
*****
Dil hai k pharon aj mey Shabbir ka Hamla!
buth khano pay tauheed ki tasveer ka hamla
kuffar pay jabbar ki shamsher ka hamla
shabbir ka hamla hai k taqqdeer ka hamla?
yeh jung lari shah nay kuch itnay hunnar say
meydaan mai daad ayi hai Abbas k sir say
After saying the final good bye to his daughter he came to his horse (mujalli) and said :
rahwar say mola nay kaha day wo tajjali
duldul ho pareyshan tou hairan mujjali
bay bas ho jibreel sa aflak muhalli
bas ho teri raftar say vehdat ko tasalli
raazi kia tu ney agar is waqat faqqi ko
chumay ga jahan hasher talak teri shabi ko
Horse ( Zuljinah ) Replied :
Di murtajisi noorey sarapa nay yeh awaz
raftar k anjam say hoga mera aghaaz
khud moat k bas mai nahi paa lay meri parwaz
mey tera hi ijaz say hon sahibe ijaz
is rah mey khud moat bhi do hath chaley gi
shamsheer sey pochyen , woh mere sath chaley gi?
and ..
larnay pay gar dil hai tou phir kahey ka gham hai ?
yeh fatehey mubeen hai k alam main bhi alam hai
kiya kijiye aakhir teri ghutti mai karam hai :)
warna yeh lashkar tou terey ghorey say bhi kaam hai :@
jo aaj merey paaon ki thoker say marengay
wo hasahr talak meri shabi say bhi darengey
He kissed his horse and started a conversation with his sword the one and only "Zulfiqar" :
Shamsher say mola nay kaha chal magar aisey
ho khaibar -o- khandaq mai bhi halchal magar aisey
is thal mai rahey moat ki jal thal magar aisey
is dasht mai ho khoon ki dal dal magar aisey
tu jis pay uttari gayi mai us ka waali hoon!
wo sirf Ali tha mey Hussain ibn-e-Ali hoon!
A long awaited ; blood thirsty Zulfiqar replied :
talwaar pukaari yeh qayamat ka safar hai
ankhen bhi nahi or meri sab pey nazer hai
kaaton kissey, choron kissey mujh ko yeh khabar hai
hathon mey qaza hai meri junbish mey qadar hai
bus rehem ki aye gi sada char taraf sey
mey dasht mey chalti rahon daad aye najaf sey
Hussain !
Gar apni pay aajaon tou ik jast kay ander
sajday mai girren teri adawat k yeh mandar
kiya sher say lar payengay yeh zaat kay bandar?
hai dasht bhicha don yahan lashon ka samandar!
sarkar ka sadqay mai yeh sarey banay hain
hum dono uttarey gaye yeh sarey banay hain
after this the moment arrived when a father who pulled the spear out of his 18 year old son, a father who pulled an arrow out of his 6 month old son, a brother who saw his brother dyeing in his hands, a friend who saw his friends getting martyred in front of his eyes , a person who's throat hasn't felt a single drop of water for 3 days ; yes the son of Fatima and Ali , arrived fearlessly in the battle field of Karbala, pointing his zulfiqar towards yazid's army and said:
Chahon tou yahan moat ka bazaar saja don!
sao (100) bar bana ker tumhein sao bar mita don
khaliq say yeh malik nay kaha aur mai kiya don?
aja mey tujeh ajj teri jang dekha don!
mairaj Mohammed ki hai Mairaj pey jana!
Shabbir ki Mairaj hai Allah ko Bolana
and than he attacked!
piyasay k alfaaz abhi ruk hi nah paye
maidaan mey sajne lage tauheed Saraaye
jabroot ney laahoot k khaimey bhi lagaye
mumkin nahi Shabbir bolaye woh nah aye
markooz howa farsh pey khud arsh-e-ali bhi
piyasey ki larayi ka piyasa tha khuda ki bhi
Bus taigh uthi shor howa zard hue rang
maqtal my panah lene lagey aehen-o-ahang
mazloom, jarri, roop samad, os pey ajal dang
khud jung ney dekhi nah thi aesi bhi kahin jung
jo shaam key they shaam dhaley haanp rahe they
garmi thi qayamat ki addu kaanp rahey they
kia kia nah kahen taig-e-Hussain Ka asar tha
khud seena-e-talwaar pey mardoon ka jiger tha
jungle mey larayi thi , jahanum mey bhi dar tha
jannat ki jagha aman ki hai khauf mager tha
hud hogyi aslaab mey ghabra gaye bachey
kuch maaon k arhaam mey sehma gaye bachey
sholey sey ogalne lagin talwar ki ankhen
dochar howien moath sey do chaar ki ankhen
thin lashkar-e-farrar mey karrar ki ankhen
ankhen nah utha payin thin ashrar ki ankhen
tanhayi mey tanha ney ajab moat macha di
Allah ney bhi Allah ho akber ki sada di
Dekhi na kabhi chasm-e-falak ney yeh larayi
Jibreal ney Mola sey amaan jan ki payi
bando ki katayi mey kahan hai yeh safayi?
sir kat gaye ajsaam ko awaz na ayi!
Jungle mey Mohammed ka Madina utar aya
Khud moat k mathe pey pasina utar aya
Aftermath
jab khoon sey Shabbir ney bhardi woh araazi
yaad agaya islam ko shabbir ka maazi
besakhta khene laga mheshar ka woh qaazi
Shabbir mey raazi tu ab mujh sey ho raazi!
jab or jahan tak mera islam rahe ga
wada howa shabbir tera naam rahe ga
tauheed ki awaaz pey muztar hue masoom
jung rok di khene lage hazir hai yeh halqoom
Abbas ka mola howa lamhaat mey mazloom
bola k Khuda hami ho aye Zainab-o-kulsoom
islam pey gar zulm karey ab bhi zamana
phir sham-e-gharibaan issey chadar sey bachana
os wqt mey utri kahin madar ki sawari
woh phelu shikasta thi buhat dard ki maari
mehzoon hue ashq howe ankh sey jari
athara baras ki woh zaeefa si pukaari
lo mil gaye matti mey meri goad k paale
Ghazi ko bolao mere bache ko bachaley
By Shair-e-Al-e-Imran Janab Shaukat Raza Shaukat...